Mujhe koi aisa raasta bata
Mujhe koi aisa raasta bata
Ke jis per chal kar
Mein tujhe bhool sakoon
Ya phir
Mujhe koi aisi raah dikhlaa
Jis per chaltay huwe
Mein tere saath guzre huwe
Lamhoon ki rafaaqat
Ek khwaab samajh kar
Bhula sakoon
Ya phir
Mujhe koi aisi simt bataa
Jahaan jatay huwe
Mein tujhe na sochoon
Na hi tujhe yaad karoon
Aur
Agar aisa koi raasta
Aisi koi raah
Aisi koi simt
Nahe hai tere paas
Tu phir
Mujhe mere haal pe chor day ...
ABHI FAISALAY KI GHARI NAHI
Abhi zahan hai kisi kashmakash k ghubar main
Abhi faisalay ki ghari nahi
Abhi dil yeh poora bugha nahi
Kahin taq khawab-o-khayal main
Abhi aik shama si jal rahi hai umeed ki
Abhi dil yeh gard-e-malal main hai uta hua
Abhi zahan hai kai zawioon main bata hua
Abhi had-e-waham-o-guman main hoon
Abhi mugh ko khud pay yakeen nahi
Abhi faisalay ki ghari nahi
Ise kashmakash k ghubar main
Younhi hont apnay siye huay
Tayray dukh ko dil main liye huay
Tayray shahar-e-dard nawaz se
Main gaya to phir nahi aaon ga
Tayray shahar main
Abhi faisalay ki ghari nahi
Hum Loog burray Hien
Hum Loog burray Hien ... !!
Hum Loog burray hien ... Buhat buurey ... Hur baat ka tana deyte hein .. Hur baat pe shikwa kerte hein .. Wadey bhi hazaar hum kerleingey ... qasme bhi bari uthaaeyingey ... per dhoka buhat hum deyte hein .. hum jhoot bhi bula kerte hein .. lehjoon ki taiz chubhun se hum hur dil ko zakhmi kerte hein .. hur baat hi tulkh hum kerte hein ...khwaab bhi hum hi bunte hein ... kush fehum bhi hum hi rehte hin .. naaz buhat uthwaate hien ... rooth buhat hum jaate hien ... hum bachey se bun jaate hein ... waisi hi zid munwaate hein ...tooti phooti cheezon pe kush hote hein .. koyi lerta ho .. koyi rota ho .. koyi mun ki baat ju kerta ho ... hum fiker kisi ki kerte hein ?? .. Jub paas buhat tum hote ho hur baat pe jhagra kerte hein ... jub sajte ho ..sanwarte ho... phir ik ada se kehte ho " Achey tao hum lugey hein na " hum chup saadhey.. bas mun maurey tum se kuch na kehte hin .. shaam dhaley tum raah humari tukte ho ... hum dear se ghur ko aate hein ... hum kub kisi ki sunte hein ? .. hum apni hi tao kerte hein .. Hum khudgarz.. la perwa ... puthur dil... hum sang dil bhi ... Tum pyaar kero .. Tum laad kero ... khwaahishien hum se hazaar kero... Hum pyar bhala kub kerte hein ? ... hum waqt bhala kub deyte hein ?? ... Hum beyperwa.. Awara hein ... Hum dil ki baat najnaein hein.. Pyar viyaar ki baaton ko na samjhey hein na maaney hein... Hum buhat burray hein .. Buhat burray ... Tum achey ho ... Tum suchey ho .. .. ju baat kahien wuh kerte ho.. ju kerte ho wuh kehte ho .. per ishq humi se kerte ho .. tum nadan ho tum bholey ho .. Per achey ho ... Hum loog burray hein... Hum buhat burray ....
Bila Unwaan .. !!
Kul shub phir chaand mere dareechay se jhaank raha tha... Kul phir kaayi ghum chandani ki manind mere kumray mien phaiL gaey thay ... Kuch tha aisa ju mere chehray pe raqsaan tha... ya shayid diL hi mera ankhoon mein aa beatha tha ... Kul phir ankhien num thien meri ... Kul phir sari raat mein deair taLuk kuch soochey gayi ... Kul raat mein phir sooyi nahi ... kuch khwaab thay jin ka khadsha tha... kuch tabeerien ju chund Lumhay pehLay hi sooyi thien ... wuh taabeerien kuL khooyi thien ...
Is kumray mien Kuch Lumhay thay ju saath jiya hum kertay thay... un khwabeeda si ankhoon mein kuch khwaab ju main ne boowe thay.. Haan ! Lums tumahra ub bhi hai.. in phooLo0on per... tasweeron per.. un cheezon per jin cheezon ki tareef kaha tum kertay thay.. yeh kumra aaj bhi mehkay hai os kushbo0o se .. jis kushbo0o sung main mehki thi un khwaboon mein ...
hur shaam koyi bhooLi titLi jub angan mein merey aati hai aur mujh se israr wuh kerti hai ... main os k rung ginti hoon.. aur gin k yaad tumhe main kerti hoon .. jub jeevun apna rangeen tha ... tub aayinay k smanay Laa ker ... mujh ko tum yeh kehtay thay ... keh main ne aisay rungoon ko na dekha hai na soocha tha.. tum kaisay aisa kerti ho ??.. Main hasti thi aur kehti thi TUM PAGAL HO deewanay ho ... ju aisi baatien kertay ho ...
jub munziL apni bichuri thi ... tab Laahiq mujh se jitnay bhi wuh rastay thay ... ju mere diL tuk jatay thay ... un rastoon pe khaar chunna ub kertay ho .. ub jugno0o apni chaahut k tum rooz o shub dhoodnhay ho .. Na chitti na paighaam koyi ... per junbish jub bhi hont kerien .. ik khauf se tum dur jaatay ho ... aur phir jub barish hoti hai .. tao beathay sung tum barish k mujh ko yaad kertay ho ..
Jis haaL mein hum tum jeetay thay wuh haaL humari yaadoon mein ub basta hai ... ub sub kuch mujh per hasta hai ... wuh kumra ' phooL aur tasweerien ... aur ayina aur titLi bhi ... yeh sub mujh pe has has ik baat humesha kehtay hien .. wuh jis k pyar mein paagaL tum ju pehroon pehroon phirti ho ... wuh jis k ulfut mien tum sub kuch apna bhooLa kerti ho .. wuh ishq ju tum se choot gayaa... wuh ishq ju tum se rooth gaya .,.. ... ub waqt nahi wuh aeyga... wuh hurjaayi ub Laut k ghur na aaeyga ...
per najnay is dil mundur mein ... ik aasha hai ju kehti hai ... keh aisa hur ghiz nahi hosakta ... ju mujh ko chaha kerta tha .. wuh mujh se rooth nahi sakta...
ub aajao0o is dil mundur mien aik moorut hai ju khaaLi hai... ub Aajao0o Jaana .... ub aajao0o ... !!!
Andhay Loog ... !!!
Loog beyganaey .... kyun na jaanein.. kyun na samjhein ... hur baat ko tollien hur harf ko purkhien ... naam ko deekhien .. zaat ko khojien ... umur ka poochien ..... chehray ko daikhain..... ankhoon mein jhankain ... jism k ik ik hissay ko dekhin ... baal bhi dekhein ... chaal bhi dekhien ... andaaz kay mairay ... har raaz ko parkhain.. ik ik ada ko mairi hain janchain.. ... mun se nikli baat ko saanchin... ankhien rakh ker yeh jo dekhein os ko maanein.. lufzoon ko dekhein... samjh bhi jaein... phir bhi poochien ... Bachi si ho .... bholi si ho ... yeh sab kaise likhti ho bolo?.. itni gehri gehri baatien... kaisay kar layti hoo bolo... itni si ho aur baatien dekho ... hayrat say taktay.. mujh pay hain haste... kehte hein mujh say...
kachi umur k khwaab hein kachay... rung barangi battain kartay.. loug yeah andhay shehar kay saray.. yeh na samjhein yeh na jaanien ... Loog hein andhey ... yeah na daikhain.. kachi umar kay kachay khawb.. jeevan mein rung jab bhartay hain.. woh rung amar hoo jatay hain.. Yeah loug hain andhay .. yeah kab daikhain yeah kab jannain...
Ankhien
Khwaab aur un se wabista ... do jheel si gehri ankhien thien
.. hum ne julti dekhien kul.. un khwabedah si ankhoon pe ju sawan kin min kin min bursa aaj ...
tao ... !!!
un ankhoon ko bujhtay bhi dekh lya... aur un bujhti ankhoon ki raakh Liey .... apni bojhul ankhoon mien ... do jurwaan kaali ankhoon mien ..
wuh raakh liey ... hum kis nagri ko jaien jee .. Maloom nahi .. yeh khaak kahaan baahaien jee .. Maloom nahi .. !!!!!!
Maloom nahi !!!
Kush Fehum
ju zakhm os ne diey hein wuh ghaneemt hien keh aarif
hur shuks ko yeh qeemti tuhfeh nahi miltay
hur shuks ko yeh qeemti tuhfeh nahi miltay ... Main buhat hi khush naseeb hoon .... Main bawafa hoker bhi beywafa rahi... ... mazloom reh ker bhi zaalim hi rahi .. burbaad reh ker bhi abaad rahi ... buhat hi kush naseeb tehri!! keh tere kochay mein aaker.. tazleel howi aur kaha kuch bhi nahi ... kitnay naam dhuray logon ne .. kitni ungliyaan uthien mujh per... kisi ne kuch kaha mujh se .. kisi ne kuch ...per mere lub wa na hosakey .. keh inhein aata nahi Wafa ki bagawat kerna... adhay rastay se muh maor leyna ... tumahray humqdum hoker main ne yeh nahi seekha... ju tum ne nashtar chibhoey thay mere dil per..os karb ka laho.. meri ankhoon se behta tha .. ... ajub sa aik pehra tha... keh main kuch ker nahi sakti... wuh tumahray shehur k baasi ... buhat zaalim buhat khud gharz !! ... kisi ne dekh lien ankhien .. yeh meri sharbati ankhien.. in ankhoon mein ju wuh ik aks tumahra tha ..tao phoor di ankhien... kisi ne dekh liey labon ki junbish tao see diey LAb .. kahien bahar ne bhur liya ju baahon mein ... tao mujh per khaar hoti khizaaon ka rukh maur diya ... buhat chaha keh kehdoon wuh ju guzri hai ... keh haal-e-dil suna daalon ... silay zakhom ko keroon chaak aur wuh dard dikhlaoon .. mager tum mugun thay apni duniya mien ... buhat hi beykhabur thay ... tumhe khabur kya hogi .. tumahray baad ju apna howa wuh haal kaisa tha... tumahray lautney ki aahut per.. yeh ankhien khwab mein liptien .. kaisay chukkhut se lug ker ... oonghti thein ,. keh saansien ju ukharti thien.. badun k tootne k khauf mien qadum uth na paatay thay .. buhat beydard sa dard tha.. mager tum beykhabur theray.
woh apney zaam main thaa ,bay khabar raha mujh say
ussay gumaan bhi nahin main nahin raha uss kaa
woh apney zaam main thaa ,bay khabar raha mujh say.. !! wuh dhulti shaam k muznur mien hum gum ju hojatay... mere kandhey pe sir rukhey .. kaha kerta ... "buhat sa dard rehta hai is falak k rungon mein .. jub yeh dhultay jaatay hein ahista aur aahista... gumaan mujh ko yeh hota hai k dhultay sooruj k saaey mein... dheemay dheemey yeh bujh rahe hein ... ... ajub qudrut hai na yeh bhi .... .mujeh yeh dard mehsoos hota hai ... suno !! ... tumhe main dard na doonga... buhat hi paas rukhoonga... main tao zaam-e-wafa hoon na !! tum ko sari wafa doonga ... yahaan bas yahaan hi. main tum ko saaath rukhoonga ".. ishara dil pe hota tha... nighaahien mujh pe hoti thien ... gallon ki surkhiyaan apni .. chupana dubhur hota tha... buhat sa pyaar deyker wuh ... kaayi khwaab deyta tha ...main akhiyoon ko mundoay .. nut naey sapnon ki dooli mein beathay.. muskuraati thi ... aur is beykhudi mien pooch uthti thi .. " batlao0o !! jisay tum ishq kehtay thay .. ager wuh is samundur ki lehroon k rastay se.. yahaan aaey .. aur tum ko wapis bula laey .. tao jana kya kerogay tum ?"... meri in kali ankhoon mien.. kushiyoon k jugney jugmaga uthaey... ik beytabi keh leyga naam ab mera... utha ker sir mere kandhey se... kaha os ne " main os k sung un lehroon k safur per jaa nikloonga... wuh akhir ishq tha mera.. " baad os k najaney os ne mujh se .. nahi maloom ..per wuh jumla hi kaafi tha...meri do samundur ankhien... os samundur ko dekh na paaien .. keh in ankhoon ka paani os sumundur k paani se gehra tha...
hey unhain bhi meri tarah junooN, to phir un main mujh main ye farq kya ..
main giraft-e-Gham se na bach saka, wo hudood-e-Gham se nikal gaye
main giraft-e-Gham se na bach saka, wo hudood-e-Gham se nikal gaye... !.. osay kya khabur ... in jul thul ankhoon sung... kaanch se bikhray sapnon sung .. keh ju rastay mein jaga jaga .. ! mere beykhabur ! osay dhoondhti rahi kidher kidher.. . . osay hai wasta hi kya ?..k is sakoot-e-zaat ko leyker... shab-e-tanhaayi mein mainn e.. jitnay pul osi k naam ker chorhay thay wuh saray jala daaley ... yeh ankhien bunjur hochukien kub ki... maseeha bhi nahi mera.. keh koyi mujh se yeh poochey .. kaho na .. zeest se ujri howi kyun ho .. ? shehur-e-sukhun pe kounsa azaab aaya hai ?? .. mager nahi ... buhat kush hai wuh jahaan bhi hai... mujh ko khabur hai yeh..
phir ik din wuh mila mujh se... kaha os ne mujh se " kaho beywafa ! ho kaisi ?
ajub sa dard ankhoon mein.. honton ko kuchaltay pul ... jhuki pulkien... zara sa khum kerke sir .. kaha main ne... "
teraa bas naa tha to kiuN mujhey naey mosmoN ki naveed di
tu mujhey peshgi meiN jo de gaya wo phool ab tak khilla nahi "
wuh hans diya meri beybasi ki ada per yun .. mere hasulay ka zabt toot ker choor choor phir hogaya .. main ruki nahi ...
Main ruki nahi ... !!!
Os ne awaaz bhi na di .. wuh rukta bhi tao kis liey ... ?wuh khwaab nahi shayid saraab hai .. Saraab ! kisi ki munzil buntay hein .. Kisi ki raah ki khaar... in k hisay mein rehna hai beyamaan rehna .. tasli khud ko main ne di .. ose samjh na paayi ... bhala main samjh rukhti tao .. samjh paati keh ... ju os ka ishq tha pehla 'wuh os mien zinda aaj bhi hai ... wuh mujh ko beywafa keh gaya... wuh bawafa khud kounsa hai ??... kisi din os se poochongi .. gillay kerke .. bas itna kehdoongi... keh main jee nahi sakti ... main tum sung jee nahi sakti ... ju aaj tuk kisi k khwaab bunta hai main is baat ko tool na doongi ... ju kuch howa mabean hamaray bhool jaoongi...
bhoLa ker aaj main kush hoon .. kush naseeb main aaj bhi hoon... bichur ker os se ..jeeney ka saleeqa aagaya mujh ko ... khatum hur kaam kerna aagaya mujh ko
Bichurhna shart hi thehra tao yun bichur jaaien
kisi ko tark-e-taaluq ka kuch giLa na rahey
Likhne ki Khwahish
Aaj phir kuch likhne ki khwaish ne angrayi li tao soocha keh aaj likh hi daalon ... itna likhoon keh unguliyaan dukhne lagein .. kunputiyaan sulgney lagein... khoo jaoon soochoon ki wadiyoon mein... tawaja rahey tao sirf lufzoon per ... chahey jasiey lufz chunon... jumley likhoon.. kuch na soochon bas likhti jaoon ...lufzoon mein is tarhaan se doob jaoon keh saansein tuk ukhrhne lagein ... dukhoon ki kushboo aaey jumloon se ... aam sa likhoon per perhne wala kahein dur safur kerne lagey.. soochney pe mujboor hojaey keh ju likha hai wuh osi ki awaaz tao nahi ... wuh bhi meri zaat ko khoojey .. mujh mein gum hojaey per kuch pul k hi liey ... shidatoon ko jaaney meri... meri sooch ko purkhey.. lufzoon se muwaina kerey ... tatolna chahey per nakaam rahey... wuh bhi sawalaat ka anbaar liey mere saamne aan khara ho .. " Keh yeh kya likh dala tum ne .. ? "... tub mere sare beyzubaan lufz chupne lagein mujh se ... kaha tha na... Main auroon ki tarhaan na hi khubsuret lehja rukhti hoon na hi lufz .... beysar-o-samaan ub tuk musaafut tey ki hai . kaisey ? nahi jaanti ... Per aaj tao jaisey dil ne boojh ko kum kerne ki thaan li hai ... dil chah raha hai keh ... Asaab pe chaaya ju dhowaan... chuthne lagey tao jism ka poor poor bheag jaey ... Sakoon ki neend soowon.. khwaab na tootein .. na aankh khuley ... kehte hein keh dil ki baaton ko likh deyne se azaab mein kami aajati hai ... sakoon ki pur num boondien barasney lugti hein jub jism per tao zakhum bhi bhurne lugte hein ... ..ub dekho mulguja sa libaas pehne sare munzur mere samne aakhare howe hein .. likhte likhte adohre manazir bhi giley shikwey kerne aaaagey hein ... kis kis se nazrein choraoon ... kahaan chupoon .... kaash lufzoon mein apna aap bhi chupaa leyti ... yeh bhi aik din isi kaaguz ki tarhaan khaak hojaeyngey ... hai na ? chulo khaak hi sahi ...ub Dil bhi chahne laga hai keh wuh sub bhi likhoon ju abhi mehsoos ker rahi hoon ... ju kisi se kehna chahti hoon per keh nahi paati ... beyturteeb lufzoon ko kaisey aik aik kerke juron.. mayinoon ko samiat ke adhorepun mein hi mukamul jumle ... Itna kuch likhnaa chahti hoon per Main hoon keh likh hi nahi paati ... Kaisey likhoon?? ... Wuh ju ehl-e-maazi ki yaadoon ka khazana hai ... Os khazane ko kholoon... Haal-e-dil likhoon ... Ashkoon se mitawoon ... phir qeqehey mere deewaroon se tukraein .. nahi .. itna kuch likhne k liey tao sahyid maah-o-sawaal hi lug jaein ... mujh mein itni saakut nahi ... itna asan nahi hota likhna jitna kehna hota hai ... per main ne tao kabhi kaha hi nahi ... Dekho ungliyaan bhi kupkupane lagein ub tao .. hath bhi bheeg gaey hein ... ankhein churaaey likhne ki khwahish mein likhey jaarahi hoon ... Mere paas na zyada alfaaz hain aur na hi zyada waqt ... wasiey bhi kehne sunne ki baatein bhi tao waqt maanga kerti hein...
Dekha .. phir se sooch ka silsila toot gaya ... Yehi hota hai hur baar... sooochte soochte achanuk hi zehun yukdum hi khali ... ub aagey likhoon bhi tao kaise ?? ... ..waisey Kya waqayi likhna itna asaan hota hai.. kya masoom dil ke jazboon ko zabaan deyna itna hi asaan hota hai ? ... ager yehi sub itna hi mushkil hai tao phir asaan kya hai .. ??Dekha phir se sawaal jawaab shoorh kerdiye hein khud se.. Mager ghaor kya keh in sab sawalaaon k jawaabat os shuks k paas bhi nahi hongey ju yeh perh raha hoga ... in sawal aur jawaab k bhunwur mein main itna beh chuki hoon keh ub tao Likhne se pehle bhi sawaalat ki zanjeerein mujeh jukur leyte hein ... Sawalaat bhi kitney ajeeb bhote hein na ?? ... phir aik aur sawaal ... Kya keroon .. ?? Sawaal peecha nahi choorht'te aur jawaab hain keh kahein dhoondhne se bhi mil nahi paate ... chulo Aise hi sahi ... itna kuch likhne k baad bhi ub tuk aik beysakooni hai jaisey kuch na likha ho .. najaney kub main sahi lufzoon se khud ko bayaan kerpaoon ... kaifiyut ko aik rung doon .. najaney kub main aisa kerpaoongi ??
Aik warq
Main hur shaam asmanon ko milta dekhti hoon .. soochti hoon k jub yeh milte hongey tao kiya hota hoga ? kuch toot'ta hoga ya phir aik jhanaka sa ju hur cheez taba kerta hoga,.. ager aisa hota bhi hai tao yeh kayinaat khatum kyun nahi hoti ... Buhat soochti hoon main bhi ... najane beathe beathe Main kousi duniya ka safur tey kerti hoon ... hoti aik duniya mein hoon mager rooh kahein dur kisi khala mein hi hoti hai .. sahyid mujeh soochne aur sooch ki gehrayi mein uturna waqt ne seekha dya hai ... mere apney kafi suljhey howe se loog hein .. in k beech mujeh apna aap andhere ki manind lugta hai ... gum shuda zaat ki manind ... ju sub k saath hoker bhi kahein nahi hoti ... koyi pehchaan nahi koyi naam nahi k in logon ki sooch aur shaksiyut mujh se kahein zyada mukhtalif hai .. yeh loog duniya mein rehte hein aur main ... duniya mein rehte howe bhi kayi duniyaoon ki musafut te kerti hoon ... sooch ki duniya ... khwabon ki duniya ... Mohabbat ki duniya ... samjhney ki duniya ... azaadi ... aur rungoon ki duniya ...
Raat ... lumha lumha pul pul mujeh raat apni hi jaisi lugti hai ... ... jasiey jasiey raat dhulti hai dil ki duniya mein tehulka sa mucha deyti hai ... os din bhi jub khamoshi ki hawa mein main saans ley rahi thi ... sub hi apni neendon k sahil pe kushti chula ker khwabon k kinare talaash rahe thay jub Main ne let'te hi apney chehre pe aik roshni mehsoos ki ... roshni mein mujeh neend nahi aati na hi andhere mein ... Main uthi aur dekha k chaandh ki roshni sirf mere jism pe perh rahi hai ... Main ne os roshni pe haath pheara aur khrki pe khare hoker chaand ko tukney lag gayi ... chandani ne mujeh apney hisaar mein ley rukha tha ... pura shehur khmoshi ki neend soo raha tha ... Mager main ..jisey loog pagal kehte hein .. os chaandh ki aaghosh mein khari thi .. aik narum aur thunda ehsaas mujeh bekhud sa ker gaya ... mager jaisey hi aik qadum burhaa ker wahaan se huti tao khud ko andhere mein paya ... andere tub shayid mujeh aur gehra aur kaat'ta laga tha ...
siyaa rung ... Bakhut ki siyaahi ... mehroomi ki siyaahi ... khauf aur tunhayi ki nasur kerti siyaahi ... udasi aur dukh ko pehni siyaahi ... maut ki siyaahi ... ankhein bundh kerte hi chaa janey wali siyaahi ... ugrucha yeh siyaahi mujeh hur jaga nazur aati hai mager main yehi soochti rehti hoon k udaasi aur dukh, bukht aur mehroomiyut, khauf aur tunhayi . maut aur ankhoon se siyaah rung ka akhir aisa koun sa rishta hai ??... Raat bhi kaali siyaah hi hoti hai .. jub tunhayi mujeh baahon mein thaamti hai tub bhi siyaa rung mujeh apney hisaar mein leyta hai .. Mehroomiyut mera hosh mujh se cheenti hai tub bhi yehi rung... mager yeh hi rung akhir kyun main aaj tuk zinda kaisey hoon ?? Yeh rung .... Mujeh jeene nahi deyta ... kushiyaan .. hasi ... sakoon .. neend .. subhi kuch cheen leyta hai yeh .. Mere saath bhi tao is ne yehi kya na .. main kis se kahoon k mujeh is siyaah rung se koyi sufedi ki roshni mein maar dey ... Buchpun se leyker aaj tuk is rung mein ghulti aayi hoon mager aaj tuk is se kabhi dosti na hosaki .. jub bhi is rung ko dekhoon tao karb ki taiseein uthney lugti hein dil mein .. kYUN .. yeh main khud nahi jaanti ... jaanon bhi kaise .... k rung tao khamosh howa kerte hein .. chup ki zubaan se zindagi ko zinda kerte hein ... mager yeh rung .... .. .. ankhein bundh kerte hi andhera hi tao ankhoon k samne chaa jata hai .. andhey loog pata nahi kaise jeete hein .. ager achanuk mujh se binaayi cheen li jaey tao FPRIVATE "TYPE=PICT;ALT="Kya main is siyaah rung se lerh sakoongi .. is mein hi jee sakoongi .. Mera maan'na hai k nahi .. yeh wuh rung hai ju hur kisi ko apne aap mein jazb kerleyta hai .. kuch nazur nahi aata ... insaan apna aap bhi khoo deyta hai .. is rung mein rung jaao tao is rung k siwa aap kuch nahi paa sakte hein na khoo sakte hein .... khamosh rung hai yeh ... mager cheerh deyne wala ehsaas ju humesha saath rehta hai .. main is mein khoo ker apni zaat ko khoona nahi chahti ... Main khud ko chupana nahi chahti .. Mager roshni mein khara hona mujeh acha nahi lugta .. main sub k samne khare hoker yeh sabit nahi kerna chahti k meri is rung se jung hai bulkeh main roshni mein reh ker is andhere ka mazaq urana chahti hoon... ju saans ki tarhaan mera peecha kerta aaya hai ...Maut bhi aayi tao andhere mein aaker sargooshi kereygi aur saans mujh se cheen ker ley jaeygi ....Tunha is rung is andhere aur khuf se lerhte lerhte aaj thuk gayi hoon ... ager main isey aapna aap sonp doon tao kya meri zaat bhi gum hojaeygi .. ??.. Mujeh is rung se azaadi chahey .... Main is rung mein jeena nahi chahti ... is ko mujh se dur leyjaooo
Ek meray na honay say
Ek meray na honay say
duniya badal nahi jai ge
Chand roshni daina bund nahi ker day ga
Sitaray chamukna bund nahi ker dain gay
Soraj nickalna bund nahi ker day ga
Han sirf ek meray na honay say
Mujhay maloom hay ek meray na honay say
tumhain furq nahi paray ga
Magar mae kia karoon ye sochti hoon
Jub mae nahi hoon ge
Ye dur o dewar , ye tasweerain, ye phool, ye kitabain
Ye zaiwar , ye chorian , ye aaina, ye libas
Mujhay na pa ker kuch udas to hoon gay
Laikin tum fiqr na kerna
Guzerta waqt rufta rufta meri yadoon ko dhundla ker day ga
Ye sub cheezain bahal jain ge
bus kuch ursay bad phir rufta rufta mujhay bhool jain ge
Kyoon kay ab ye juzbay khal khal he miltay hain
Ab kisi ko ye yad he nahi rehta k kisi ko yad kerna hay
Such ye he hay kay hum akailay duniya may ai hain
aikalay he jain ge,
Ek meray na honay say kisi ko koi farq nahi ho ga
Laikin phir bhi agar ho sakay to meharbani kerna
Meri Kabr per agar ho sakay to chund phoolon ki putian he dal jana
Shayad un ki mehak meri duniya to na mehka suki
Shayad meri Akhrat hi mehka dain.
Aur duniya may meray honay ka ahsas to tum dila na sukay
Bad mernay k meray na honay ka ahsas he dila do mujhay
Ye kabhi to Kabr pay merai mujhay bata jao, tum pay kia guzri
Ek meray na honay say
MOHABAT
Mohabat aas hoti hay
Mohabat wishwas hoti hay
Mohabat piyas hoti hay
Mohabat piyar ka bin bas hoti hay
Mohabat ko na kuraido ay logo
Mohabat rakh hoti hay
Mohabat raaz hoti hay
Mohabat dushwar hoti hay
Mohabat azad hoti hay
Mohabat azar hoti hay
Mohabat ko na kuraido ay logo
Mohabat rakh hoti hay
Buhat SAray logon ko Mohabbat kertey dekha hai .. kuch loog mohabbat gharz ki kya kertay hien aur kuch beygharz si .. Dekha jaey tao Mohabbat sirf aik jazba hai .. mager insaan se jub bhi koyi jazba jura wuh insaan k libaas ki manind osi rung mein hi rung ker batien kerney laha .. Meri zindagi mien kuch chund hi loog aaey jinhoon ne Mohabbatien beygharz Lutaaien ... Apnay saaey aur apni sachi wafaoon ki shaal mere kaandhaey per daal ker meri tunhayi ko mujh se dur kya hai .. inhi chund logon mein se aik hien Aashino0o .. URF aaaina.. URF Aeysha.. !! ... Aashino0o naam rukhne k peechey bhi aik dastaan hai :P .. AAesyha aur Aaina ... induno naamom kO REMIX ker ke yeh naam banaya tha ... naam rukhne ki aadut k haathon majboor hoon .. Aeysha naam k aksur nicks Aahi hi hotay hien. .ya Aasho0o ... mager chunkeh mere liey yeh buhat khaas hien tao un ko khaas sa naam diya hum ne.. .. in se dosti ko kuch zyada arsa nahi guzra.. mager saalon per muheet lagti hai yeh dosti .. ( khuda aisay hi salamat rukhey AMEEN)... aik minute.. i think teen saal hogaey hien ... oops .. tabhi main kahoon sadiyon per muheet kyun lag rahi thi :s .. hum do mukhtalif duiniya k do loog hien ... mager main jub aashino0o k saath hoti hoon khud ko khud sa paati hoon ..aur shayid wahaan bhi yehi haal hai .. na khaul churhaney ki zaroret hoti hai na kisi bhi baat ka khauf... in se maho guftago hona tao aisa hai jaisay apnay aaks se khud kalami kerna..yaani aaaina se :P
Kaafi adbi logon mein uthna beathna hai in maosoofa ka.. aur mera non adbi .. yaani main aur adab aisay hien jaisay mirch aur meetha .. :S ..aadhi baatien in ki kaan per se gooli hotiu hien .. jin ki mujeh kaaaaakkkhhh samjh nahi aati .. samjhna chaahon tao bhi lugut leyker beathni perhey ..shayid meri choti si lughut mein bhi wuh alfaaz na hoon ... hain buhat choti si mager lufz baray baray istemaal kerne ka shauq hai ... bas na chaly in ka keh sari zabanien bolnay lagien ..Budhi rooh samayi howi hai in mien ... ( baqaol apun k ) Suqraat buqraat typo si... documentary aur akhbaar jaisi cheezien yeh aisay lufz ba lufz perti hien jaisay kul imtehaan mein koyi in se yehi poocheyga keh " akhir wuh aisay thay tao kyun thay.. ya wahaan ager kuch howa tao kyunker" .. waisay kabhi kabhi main in ka budhaapa tasawar kerne ki koshish kerti hoon mager nakaam reh jati hoon keh yeh tao abhi se hi ... /bhago .. :"> .. meri beykhabriyoon se yeh sahiba buhat zich rehti hien aur mujeh aaey din apni taleemaat se aagah kerti rehti hien ...
Jin logon se aap ka LUFZOON ka rishta ho .. un logon ko nighaahon se chooney ki khwahish humesha hamaray dil mien kahien na kahien dabi hoti hai .. mager ab tuk ki NET ki zindagi mein main ne buhat saray logon ko chooney ki khwahish ki hai Siwaey Aashino0o k ... yeh wuh hasti hien keh jin se bina miley hi main hur rooz milti oon hum duno buhat boltay hien ... ( ACHA ACHA!! ) MAafi chahti hoon .. darasul sirf MAIN buhat bolti hoon .. aur yeh BUHAT sunti hien .. inhien batoon k beech mein chutklay choorhney ka buhat shauq hai .. :P ... aur mujeh ??? baat kaatney ka !!.. :"> ... kabhi kabhi beysakhta koyi aisi baat yeh kerti hien keh itnaaaaaaaaaaaaaaaaaw toot ker pyaar aata hai keh bas... khaas toar per Galiyaan !! HAHAHA!!! main bari se bari dey doon inhien yaqeenun mujh per pyar nahi aata /bhago mager yeh choti moti si hi deylien tao huggie paanaey ka dil kerta hai ...
Ghusa inhien achanuk aata hai ... jab ata hai tao yeh aik saans mien itna taiz bolti hain keh meri spedo bhi peechey reh jati hai :S .. hasti (MAshallah se ) buhat khilkhila ker aur dil se hasti hien ... jab bhi inki hasi sunti hoon farsh per motiyoon k bikhurney ka munzur ankhoon k samney ajata hai ... in ko hasanay k chukur mien hum ulti seedhi hurkatien kertay hien .. phir in ki hasi se mehfooz hotay hien ...
ager kabhi aap ko inhien kush kerna ho .. chumchagiri kerna ho ... ya phir koyi apnay matlab ka kaam nikulwana ho tao in ko Pepsi Laa ker dey deejiey ... Pepsi ki beybasi per bhi afsoss hota hai mager kya kerien :P .. in ki kamzoooriyoon mein se aik hai ... Pepsi k anaey per inhien kushi aur janey per ju dukh hota hai kabhi kabhi mujeh shuq hota hai keh yeh pepsi ki hi baatg ker rahi hien na ya..... Aagay aap aqulmund hain khud samjh saktay hien :P ...
khud per jabur ... khud ko samjhana inhien khoob ata hai ... mausumon k nagroon wali aik pagli si lerki si hien ... ju kabhi buhat toot ker sawan barsaien tao kabhi dhoop ki narmi si hasi has dien ... dosti inhien khoob nibhana aata hai ... koyi in se kitna sacha kitna khara ho ya nahi yeh doston ki sab se pyari aur sachi dost hien ... kabhi shrarti tao kabhi aisay nakhray dikhati hien keh main bhi herat zada reh jati hoon ..
jhilli hi sahi mager buhaaaaaat pyari hai meri Aashino0o !! ... ager yeh aap ki dost hien tao aap kush naseeeb hain aur nahi tao ... nahi nahi badnaseeb nahi :P mager phir bhi aap nahi jantay aap ne kya paya hi nahi :P ... ab yeh nahi keh list ban jaey yahaan ... (not fair ) ...
IS SAY PEHLAY KEH
MERI SOCH KA DHARA BUDLAY
IS SAY PEHLAY KEH
MAH NAI MANZIL KA TAYUN KER LOON
IS SAY PEHLAY KEH
TERI TASVEER DHUNDULA JAIY MERAY DIL MAY
IS SAY PEHLAY KEH
MERI WAFA, BAY WAFAI MAY BUDLAY
IS SAY PEHLAY KEH
MAH KHUD HI CHORE JAON TUMHAIN
IS SAY PEHLAY KEH
KOI UN-HONI HO JAI....
SUBHA KA BHOOLA SHAM KO WAPIS AJAIY
ISI AAS PER SUR-E-SHAM DERWAZA KHOOL DAITI HOON
IS SAY PEHLAY KEH
BOHAT DAIR HO JAI....
TUM LOT AOO......
TUM LOT AOO......
Ager Hum dost Hotay Tao
hamien bahon ki DoLi mien ' gagan ko chu ke ana hai By Sabi
wafa ki saje pe is raat ka ghoongat uthana hai
hamen bahon ki doli mein,gagan ko chhoo ke ana hai
chalo lafzon ke maani aj khamoshi ko pehna den
hon itne pas ke doori ki harr ik yaad gehna den
badan ki low pe harr jazba hamen kundan banana hai
hamen bahon ki doli mein,gagan ko chhoo ke ana hai
chalo bistar ki harr salwat pe apne pyar ko tanken
mere takiye pe bikhrey khwab mein mil ke zara jhanken
falak ki maang ke taron se yeh sapna sajana hai
hamen bahon ki doli mein,gagan ko chhu ke ana hai
chalo honton se jismon par likhi tehreer parh dalen
bhaley sharm o heya dil ko kare zanjeer,parh dalen
samay ko thaam ke is pal ko la fani banana hai
hamen bahon ki doli mein,gagan ko chhoo ke ana hai
chalo sanson ko sanson pe zara do pal machalne den
chalo ankhon ko ankhon ki nayi bhasha samajhne den
ke harr ik ang ne is raat ka qissa sunana hai
hamen bahon ki doli mein,gagan ko chhoo ke ana hai
chalo is chand ko apne milan ki chandni de den
fiza mein bujh rahe naghmon ko phir se zindagi de den
isi ik raat ki aghosh mein jeevan bitana hai
hamen bahon ki doli mein gagan ko chhoo ke ana hai
wuh kya Ajab din Thay by sabi
woh bhi kya ajab din the
jab khizan ke mausam bhi
jatey jatey ik pal ko
mere dil ke daaman mein
kuch nayi umeedon ki naqdian lutatay the
yeh yaqeen dilatay the
ab ke jab shajar apni chadron ko jharen ge
to udaas shakhon pe
teri meri chahat ki konplon ko ugna hai
jo kabhi thi seeney mein
us agan ne rahon ko jagmaga ke rakhna hai
woh bhi kya ajab din the
jab hamari ankhon ko
khwab god leney se
pehley kai lamhon tak ko sochna na parta tha
asman ke taron mein
neend ki pari ka ghar khojna na parta tha
woh bhi kya ajab din the
jab meri duaon mein,do jahan ki taaqat thi
JAB MUJHEY MUHABBAT THI
Laho0o har lafz roota hai !!
liya tha aik wadaa tum ne mujh se
hamesha khush he rehna hai
to dekho.....
dekh lo aa ker ...
meri aankhon ko dekho tum
yeh kitni shokh lagti hain ....
mere honton ko dekho tum,,
hamesha muskuratey hain .......
koi bhi ghum agar aayaa,,,
usse hans kar saha main ne...
mere chehre ko dekho tum ,,
hamesha pursakon hoga,,,,
to socho ge,,,
kia tha main ne jo tum se
wo wadaah kar diya pora........
magar ik baat phir bie hai
kabhi jo waqt mil jaye
to meri shaairi parhna
tumhen mehsoos to hoga
kaheen talkhi bhara jumla
kaheen pe sard sa lehja....
kaheen pe dard ki jheelein....
kehen lehjey ki karwahat.....
Suno.... Main Khush To Hon ,
Lekin.......
Lahoo Har Lafz Rota Hai.....!!!
Laho0o har lafz roota hai !!
liya tha aik wadaa tum ne mujh se
hamesha khush he rehna hai
to dekho.....
dekh lo aa ker ...
meri aankhon ko dekho tum
yeh kitni shokh lagti hain ....
mere honton ko dekho tum,,
hamesha muskuratey hain .......
koi bhi ghum agar aayaa,,,
usse hans kar saha main ne...
mere chehre ko dekho tum ,,
hamesha pursakon hoga,,,,
to socho ge,,,
kia tha main ne jo tum se
wo wadaah kar diya pora........
magar ik baat phir bie hai
kabhi jo waqt mil jaye
to meri shaairi parhna
tumhen mehsoos to hoga
kaheen talkhi bhara jumla
kaheen pe sard sa lehja....
kaheen pe dard ki jheelein....
kehen lehjey ki karwahat.....
Suno.... Main Khush To Hon ,
Lekin.......
Lahoo Har Lafz Rota Hai.....!!!
Kushgawaar Ankhien thien
Her Kisi Ke Chehry Mai
Ik Zia Si Hoti Hai
Rukh Ke Aik Hisey Mai
Husan Ke Eilaqy Mai
Aik Udasi Hoti Hai
Us Ko Mai Ne Dekha Tha
Germ Khu Maheenoon Mai
Ik Khushi Ki Mehfil Mai
Sheher Ke Makeenoon Mai
Ik Taraf Kharey Tanha
Jis Taraf Ko Rasty Thy
Jin Ke Sath Galieyan Thien
Jin Mai Log Basty Thy
Be Kashish Makanoo Mai
Jaisey Chand Ratien Thien
Us Ke Sard Chahrey Mai
Khushgawar Aankhien Thien
Chandani December Thi
Raat Uss ne Poocha tha
Tum ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December ki !
Main ne Kehna Chaha Tha
Saal-o-Maah ke Baarey mein
Guftagu ke Kya Maani ?
Chahey koi Manzir ho
Dasht ho , Sumnadar ho
June ho , December ho
Dharkanoo'n ka Har Naghma
Manzaroo'n pe Bhaari hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil ko Ik Sahara ho
Aisa Lagta hai, jaise
Ik Nasha sa Taari hai
Lakin Uss ki Qurbat mein
Kuch Nahi Kaha Main ne
Takti Reh gayi Mujh ko
Chandni December ki !!
Nashtar
Aziyaton Ke Tamaam Nashtar...
Meri Ragon Me Utaar Kar Wo...
Bari Mohabbat Se Poochtay Hein...
Tumhari Aankhon Ko Kiya Huwa Hai...
Kisi Ne To, Kuch Nahi Kaha Hai...
Agar Kaha Hai, Mujhay Bata Do...
Qasam Tumhari Me Pooch Loon Ga...
Kiyun Uss Ne Tum Ko Dukhi Kiya Hai...
Tamaam Batein, Wo Iss Tarah Se...
Mujhay Suna Kar Chal Diya ke..
Tamaam Baton Ka Jaisay Uss Ko...
Zara Barabar Bhi Il`m Nahi Hay...
Mujhay Kahan Se Yeh Dukh Mila Hai...
Ussay To Jaisay, Khabar Nahi Hai...
Wo Saari Baton Ko Jaan Kar Bhi...
Na Janay Kiyun Jaanta Hi Nahi Hay...
Jo Sach Kahoon To Suno Zara Tum...
Mujhay Ussi Se, Yeh Dukh Mila Hai...
Ussi Ke Nashtar Chubhay Hein Dil Me...
Ussi Ki Baton Se Dil Dukha Hai...
Wo Saari Baton Ko Jaan Kar Bhi...
Mujhi Se Yeh kiyun, Poochta Hai...
"Kisi Ne To Kuch Nahi Kaha Hai"
"Agar Kaha Hai, Mujhay Batado..."
Ussi Ki Baton Ne Aaj Mujh Ko...
Jo Sach Kahoon To Rula Diya Hai...
Mujhay, Wafaon Ka Uss Ne Meri...
Bohat Hi Acha Sila Diya Hai...
Kisi Ke Dukh Ka Hisaab Rakha...
Par Apna Nashtar Bhula Diya Hai..!!
Dosri judayiii
"Dosri Judai"
teri khushbu hawa k sabz daman main basi
tou sooch nai ankhoon main
is khuwahish k dareechay khool kar
dil sai kaha....
Khuda shahid
k hum nai aaj tak bichray howoon ko
phir kabhi miltay nahi daikha
magar
hairat sama'at pay k yeh
yaad usi ki hai jisay tum nai ganwaya tha
judai ki hawa
jis k mehaktay jism ki khushbu sai khali thi
jisay khonay ka her lamha...
her naiy mosam ka hasil tha
sitaray jis ki sorat daikhnay
her shab nikaltay thay
nazaray haath maltay thay
yaka yak...
shehar ki galiyoon main
us k naam ki khushbu uri
main nai...
rafaqat k puranay narm lehjay main
usay awaz di
us nai mujhay daikha
magar us ki ankhon main
faqat...
hairat havaida thi
k jaisay poochta ho
is tasadam ka sabab kia hai...???
wohi chehra wohi ankhain
wohi khosh-o-waza paikar
k jaisay mosmoon ka ghun
usay choonay sai qasir ho
main bachay ki terha shashdar khara tha
us nai baloon ko jhatak kar
sookhtay soraj ko ghoora
rastay ko ankh main toola
mujhay daikha...
safar lamba hai boola
meri manzal tumhari rah guzar sai
sainkaroon farsang aagay hai
Khuda Hafiz!!!
Udaas Log0o !!
Udaas rut , intezar mausam ...
Hawa ki yakh basta aahato'n se paray ...
Khamoshi ki zard chaadar badan per aurhay ...
Khizaa'n raseeda shajar ki tehni pay jhoolta chaand keh raha hai ...
Kay so bhi jao ...!
Kay so bhi jao udaas logo ...!
Woh anjuman jis ki jhilmilati tamam shamaei'n ...
Tamam raatai'n ...
Taman baatai'n ...
Kabhi tumhari muhabbato'n se bharay zamano'n ki tarjumaa'n thee'n ...
Kabhi tumharay tamam lamho'n pey meherbaa'n thee'n ...
Woh anjuman ab tumhari socho'n se door ...
Khuwabo'n ki dastako'n se paray sajay gi ...
Wahan yeh nobat nahi bajay gi ...
Kabhi tumharay badan ki khushbu se khailti thi jo raat raani ...
Woh hijr kay adh khulay dareechay main haanptay huay ...
Aakhri saans lai rahi hai ...
Udaas logo ...!
Ujaar aankho'n kay aayeenay tor do kay in main ...
Naa koi aks nigaar hasti ...
Naa koi basti he basa sako gay ...
Bas ik mata'a-e-hayaat baqi hai ab jisay tum ...
Ganwa sako gay ...
To is se pehle kay saans ki dori toot jaye ...
Hawa ki hatheli say ...
Khushbuo'n ka har ik rishta he toot jaye ...
Kiran kuwaro'n ko band kar kay ...
Ujaar khuwaabo'n ki rehguzar ka ghubaar ankho'n main bhar k ...
Har soo hawa kay haatho'n bikhar bikhar kay ...
Khud apnay andar kay dukh ki mitti main kho bhi jao ...!
Hawa yeh kehti hai so bhi jao ...
Udaas rut ...
Intezaar mausam ...
Kabhi kisi kay na hosakaingay ...
Udaas logo ...!
(One Of My Fsv's FAV!!! )
Mein Aksar Raat Main Tanha Akele Main
Tumhi Ko Yaad Karta Hoon
Tumhari Jheel Si Sharmati Aankhoon Ko
Jo Mujh Ko Deekh Kar Ek Pal Haya Ke Lal Pardon Main
Simat Si Jati Theen
Tumhare Haanth Ke Thande Paseene
Jo Tanha Deekh Kar Mujh Ko Bari Chahat Se Aatee Thay
Mein Joon Hi Haanth Main Apne Tumhara Haath Leeta Tha
Mere Haanthoon Ki Garmi Se
Paseene Bhap Ban Ke Iss Fiza Mein Kho Se Jate Thay
Unhi Ko Yaad Karta Hoon
Wo Jab Thak Kar Tumhari Goud Mein Sar Rukh Ke Soota Tha
Tum Apni Zulf Ki Thandi Hawaoon Ke
Hazaroon Qaflee Le Kar Mere Chehre Pe Jhukti Theen
Baree Hi Pyar Se Jab Mujh Ko Takti Theen
Aur Kehti Theen
Apni Aankhoon Ko Band Rukhna
Mujhay Bus Dekhne Dena
Aur Dheeree Se Mere Maathay Ko Apne Hoontoon Se Choo Kar
Tum Apne Pyaree Hanthoon Se
Chupanee Ke Liye Khud Ko Meri Aankhoon Ko Dhakti Theen
Wo Lamhee Yaad Karta Hoon
Mein Ab Tanha Hoon
Bohut Masroof Rehta Hoon
Subha Se Shaam Tak Iss Dhoop Main Khud Ko Rakhta Hoon
Thakan Se Choor Hokee Loot Ke Jab Ghar Ko Aata Hoon
Udasi Ke Ghanee Badal Mere Dil Pe Baraste Hain
Unhi Badal Se Buchne Ko
Laga Ke Shoola Hoontoon Se Mein Chuth Pe Bhaag Jata Hoon
Tehelta Hoon, Bohut Beechen Hota Hoon
Tumhi Ko Yaad Karta Hoon
Ke Tum Hoteen Tu Yee Hota, Ke Tum Hoteen Tu Wo Hota
Rait seBut naBana Aey Mere Achay Fankaar
Ret se but na banaa ai mere achchhe fan_kaar
ek lamhe ko Thahar mai.n tujhe patthar laa duu.N
mai.n tere saamane ambaar lagaa duu.N lekin
kaun se rang kaa patthar tere kaam aayegaa
surKh patthar jise dil kahatii hai bedil duniyaa
yaa vo pattharaa_ii hu_ii aa.Nkh kaa niilaa patthar
jis mein sadiyoin ke tahayyur ke pa.De ho.n Dore
kyaa tujhe ruuh ke patthar kii zaruurat hogii
jis pe haq baat bhii patthar kii tarah giratii hai
ik vo patthar hai jise kahate hai.n tahaziib-e-safed
us ke mar_mar me.n siyah Khuun jhalak jaataa hai
ik insaaf kaa patthar bhii to hotaa hai magar
haath me.n teshaa-e-zar ho to vo haath aataa hai
jitane mayaar hai.n is daur ke sab patthar hai.n
sher bhii raqs bhii tasviir-o-ginaa bhii patthar
mere ilhaam teraa zahan-e-rasaa bhii patthar
is zamaane me.n har fan kaa nishaa.N patthar hai
haath patthar hai.n tere merii zubaa.N patthar hai
ret se but na banaa ai mere achchhe fan_kaar
Meri
Gayi RutooN ka khumar utra
tu ayinooN k mizaj Badle
RifaqatooN ne sakoon loota
MuhabbatooN ka bharam bhi toota
Main kiss k chehrey ko yaad rakhooN
k abb tu ankhooN main beyaqeeni ne
apne deere basa liye hain
Mere RafiqooN se koi keh de
mere Kahani Na Mujh Se Pochain
Abhi wuh dard baqi hai
Abhi wo dard baki hai
Agar yeh waqat marhum hai
magar kuch waqat lagta hai
kisi ko bhool janey mein
dobara dil basaney mein
abhi kuch waqat lagna hai
abhi wo dard baqi hai
mein kaisai nayee ulfat mein apni zaat ko gum kar doon
keh mere jism-o-wajdaan mein
abhi wo fard baki hai
abhi uus shakhs ki muj per
nigah-e-sard baki hai
abhi tou ishq kay rastoon ki muj per gard baki hai
abhi wo dard baqi hai
Mujeh Tum se Mohabbat hogayi thi
mujhay tum say muhabbat ho gayi thi ...
kay tum apnay akailay-pan ka dukh lay kar mere restay main aaye the...
tumhari aankh say tanhayi ka aazaar behta tha ...
so main nay tum ko aisay logon say milaya ...
aisi mehfilon kee awwalee'n saf pay bithaya ...
jahan honton ki jumbish noujawan qisson main dhalti hai ...
qehqahon i rasm chalti hai ...
tumhain apni sama'at say bhi shikwa tha ...
kay tum nay naghmagi kay din nahi daikhay
haraf ko awaaz kay pehloo main khaabeedaa nahi paaya ...
tumhari guftugo mayoos sannaaton ka jungal thi ...
so main gungunati subha ki maanind lehjon ko ...
tumhari rooh ki mehroom khilwat main bula laaya ...
kayi russ gholti shaamain tumhari rooh main aabaad kar daalein ..
magar hona wohi tha ...
magar hona wohi tha jo ta'aluq jorhnay waalon ka daireenaa muqaddar hai ...
guzishta raat tum nay mujh ko bay-masraf samajh kar ...
apnay hangaamon par nazar rakhi ...
lihaaza abb ijazat do ...
meray restay ki jaanib ghoor say daikho ...
wo daikho aik darmaandaa musaafir ...
meri qurbat kay liye bay-chain lagta hai ...
tum uss ki aankh say tanhaayi ka aazaar behta daikh saktay ho ...
ussay apni sama'at say bhi shikwa hai ...
aur uss ki guftagoo maayoos sannaaton ka jungal hai ...
Suno aik baat kehni hai
suno ik baat kehni hai........
hijar ki sham se ab tak
na janey kion mere dil ko pashemani si rehti hai
khalish hai koi seeney mein, jo har pal chubhti rehti hai
chalo ik baar mil dekhen
qadam do char chal dekhen
palat dekhen chalo maazi ke gard alood lamhon ko
zara sochen kahan kis pal, ghalat kya baat keh di thi
kahan pe keh na paye the, jo dil ki baat kehni thi
khabar kion ho na pai thi shigaaf_e_badgumani ki
hui kab barishen teri meri ankhon se pani ki
chalo dhoonden judai ka koi behtar sabab jis pe
mera dil aur tumhari yeh ana, dono hi raazi hon
koi aisa sabab jis pe
bhaley saari umar sochen
pashemani ka koi ek bhi pehlu na mil paye
tabhi ja karr merey dil ko kahin shayad sakoon aye
suno ik baat kehni hai.......
chalo ik baar mil dekhen
Ro deyta hoon ... !
hijr ki nam-aalood hawaa
har shaam dhalay
aankh bhigo jati hai
aur main dheeray se
darwaaza band karta hoon
ro deta hoon ...
Ajab PagaL si Lerki hai
Ajab Pagal C lerki hai
Mujhay her khat main likhti hai
"Mujhay tum yaad kertay ho?
Tumhain main yaad aati hooN"
mairi baatain sata-ti hain
mairi neendain jagati hain
mairi aankhain rulaati hain
december ke sunehri dhoop main abb bhee teheltay ho?
kisi khamosh rastay se
koi awaaz aati hai?
TheTharti serd raatoN main
tum abb bhee chatt pe jaatay ho?
falak k sab sitarooN ko
mairi baatain sunatay ho?
kitabooN se tumharay ishq main koi kammi aai?
ya mairi yaad ke shiddat se aankhoN main nammi aai?
Ajab pagal c lerki hai
mujhay her khat main likhti hai......................
Jawaban uss ko likhta hooN..............
mairi masroofiyat daikho subah se shaam office main
chirag-i-umer jalta hai
phir uss k baad duniya kee
kaee majbooriyan paooN main bairi daal rakhti hain
mujhay bay-fikr, chahat se bharay sapnay nahin dikhtay
T'ehelnay, jagnay,, ronay kee mohlat hee nahin milti
sitarooN se millay arsa hua........naraz hooN shayad
kitabooN se shagaff maira abhi waisay hee qaim hai
ferq itna perra hai abb unahin arsay main perhta hooN
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
k main khud ko bhulanay kee musalsal justajoo main hooN
tumhain na yaad aanay kee musalsal justajoo main hooN
mager yeh justajoo mairi bohat nakaam rehti hai
mairay din raat main abb bhee tumhari shaam rehti hai
mairay lafzooN ki her maala tumharay naam rehti hai
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
poorani baat hai jo logg akser gungunatay hain
unhain hamm yaad kertay hain jinahin hamm bhool jatay hain
ajab pagal c lerki ho
mairi masroofiyat daikhoo
tumhain dil se bhulaooN tu tumhari yaad aai na
tumhain dil se bulanay kee mujhay fursat nahin milti
aur iss masroof jeewan main
tumahray khat ka ikk jumla
"tumhain main yaad aati hooN ?"
mairi chahat ki shiddat main kami honay nahin daita
bohat raatain jagata hai mujhay sonay nahin daita
so agli baar apnay khat main yeh jumla nahin likhna
ajab pagal c lerki hai mujhay phir bhee yeh likhti hai
mujhay tum yaad kertay ho tumhain main yaad aati hooN?
Judaaayi ke Azziyut Khaanay mien ...
Judai Ke Azziyat Khanay Mein
raat roti hai bichad kar tum se
chand gum sum hai hawa band fizaon ki tarah
ungliyan kampti hain
hont yak-lakht kisi zalim o be-rahm tashanuj se lipat jate hain
jab kabhi band darichon ki taraf dekta hoon
hook uth-ti hai mere seenay ki gehrayi se
barishein bichrhay hoye logo ki
kis kadar dost howa karti hain'barf kar deti hain jaltay hoowe angaron ko
aur kabi barf ko aatish mien badal deti hain
meri veerani
meri be-chaini
teri jaan soz judai ki alam-naki mein
iss tarah uljey hoowe hain ke sulajtey he nahi
jis tarah kaanton bari shakh mein aanchal koi
thoda kichta hai to kuch aur ulaj jata hai
din bilakta hai tere hijr ke soonay pan mien
shaam ghabra ke sisak uthti hai
RAAT ROTI HAI BICHAR KAR TUM SE
ungliyan kampti hain
hont yak-lakht kisi zalim o be-rahm tashanuj se lipat jatey hain
Shikast ... !!!
Subah k ojalon mein jab bhi Aankh khulti hai
Main tere Khiyalon se
Aetraaz karne ki Ahed kar ke ut tha hoon
Yunhi be-Khiyali mein
Jab Saeed ka koi Shair Gungunata hoon
Rooh Jag ut tha hai Dil Sakoon pata hai
Lekin os ke Shairon par jab bhi Ghaur karta hoon
Mujh ko Esa lagta hai
Wo Sitam Gazeeda bhi Apni Sari Ghazlon mein
Tera Zikr karta hai
Main Tere Khiyalon se Sar Jatak ke ut tha hoon
Taiz Taiz Qadmon se Shehar ko nikhalta hoon
Pur hajoom Galiun mein har jaga Dukaon par
Be-Qaraar Phirta hoon Tujh ko bhool jata hoon
be-Niaz Lamhon mein
jab Koi Pari pekar Paass se Guzarti hai
Mera Dil machalta hai Zor se dharakta hai
Aur Wo pari pekar Tera Aks lagti hai
Phir Wohi Teri Yadein Phir Shikast khata hoon
Aur main teri yadon se Door bhag jane ko
Sabz Posh Baghon mein Sair ko nikhalta hoon
Sabz Chadar par Sar jukhay chalta hoon
be-Shumaar pholon ke Rang aur khoshbu se
Dil Zara bahelta hai
Phir kahein Darakhton ke Pursakoon Saaye mein
Piyaar karne Walon ko
Pur Khumaar lehjay mein Hum-kalaam pata hoon
Phir Teri Qurbat mein Kut chuky Haseen Lamhe
Mujh ko yaad Atay hai , Phir Shikast hoti hai
Aur Main Thaka hara Ghar ko Laut Ata hoon
Shaam ke Andhere jab Shab-Taraaz hotay hai
Aur Mera Akhela Pan Soone Soone Bistar par
Phir se Teri yadon ki Chadarein bichata hai
Tab mere Iraday bhi Haar maan letay hai
Main Tere khiyalon ko Odhna bana ta hoon
Andhera Sirf mera hai ...
Andhayra Sirf Mera Hay !!!
Mein Tanhai Pehanta Hon
Udasi Kay Ujaar Aangan Mein Chunta Hon
Kathin Mehroomioon Kay Zard Pattoo'n Ko
Mer'i Aankho'n Mein Jagraatay Bharray Hein Aik Muddat Say
Mer'y Hoontoo'n Pay Chaspa'n Hein Chitakhti Hichkiyan
Chehray Pay Khulti Khailti, Dukhti Kharashayein Hein
Mein Apni Zaat Mein Ujray Huway Gaoon Ka Mayla Hon
Mer'y Yaroo.......... !
Tumharay Saath Reh Kar Bhi Akayla Hon!
Mer'i Sangat Mein Mut Bhetoo............
Tumhein Tu Khud Sanwarna Hay
Tumhari KHwahishon Kay Baam-o-Dar pay Roshni Kay Phool Khilna Hein
Tumhein Likhna Hay _____ Apni Saans Ki Garmi Say
Neendoo'n Ka Safar Nama
Mer'i Sangat Mein Mut Bethoo..........
Keh Mein Pathar Ka Muhbas Hon
Keh Mein MMehroomioo'n Kay Shehar Ka Baasi
Mer'i Qismet Udasi
Kum Libasi, Na Shanasi Hay!!!
Mer'i Sangat Mein Mut Bethoo
Mujhay Milnay Say Katraoo,
Khud Apnay Dil Ko Samjhaoo,
Meray Nazdeeq Mut Aoo, !!
Meray Dil Mein Andhayra hay !
Andhayra " Sirf Mera Hay "
tum bhi kitnay pagal ho
"tum bhi kitnay pagal ho"
aik din achanak he
phone aa gya us ka
lehjay ki malamat se
ho raha tha sub zahir
ro rahi thi shidat se
larkharatay lafzon se
kar rahi thi batain wo
tum kahan thay itnay din?
roz phone kerti thi
baat tum se kerni hai
jo bohat zaroori hai
khush nahin hon main bhi kuch
pyar tera thukra ker
sara din tarrapti hon
chain he nahi milta
jagti hon shub bher main
neend he nahi aati
jo nahi kaha kal tak
aaj tum se kehti hoon
pyar tum se kerti hon
main nay phir kaha us se
main na kehta tha tum se
aik din tou aana hai
lot ker tumhain wapis
kaisay tum bina mere
zindagi guzaro gi
zinda tou raho gi per
zindagi na ho gi wo
aik aik lemhay mein
yaad meri aaye gi
doosri taraf se phir
qehqeha sa aaya ik
aur wo lagi kehnay
tum bhi kitnay pagal ho
jantay nahi itna
aaj 'first april' hai
" " Woh Janti Thi Mager Phir Bhi "
Woh Janti Thi Wafaa Ka Ajar Nahi Hota
Muhabaton Main Sabar Ka Samar Nahi Hota
Woh Janti Thi
Muhabat Dukhon Ka Sehraa Hay
Jehan Serab Si Khushyan Hain
Aur Azaab Say Ghum
Jehan Hay Pyaas Judaai Ki Betahasha Magar
Milan Ki Barishain Hoti Hain Jis Dyar Main Kam
Woh Janti Thi
Muhabat Khiraj Mangti Hay
Woh Jis Ko Dil Ka Lahoo Day Kay Jagmagaya ho
Andheri Rah Kay Lya Woh Chiragh Mangti Hay
Woh Janti Thi
Muhabat Woh Rehguzar Hay Jehan
Bichay Hain Kaanch Judai Kay Beshumar magar
Brehna-pa hi Inhain Paar Kerna Perta Hay
Ghemon Ki Dhoop Main Jab Saibaan Koi Na Ho
Kisi Ki Yaad Ki Chader Ko Taan Ker Khud Per
Tamam Aahain Deba Ker Guzerna Perta Hay
Woh Janti Thi Wafa Ka Ajar Nahi Hota
Muhabaton Main Saber Ka Samer Nahi Hota
Hijer Ki Rah Main Hoti Hay Betahashah ghutan
Wehan Kebhi Bhi hawa Ka Guzer Nahi Hota
Woh Janti Thi Magar Phir Bhi Roag Lay Bethi
Kisi Kay Pyar Main Janay Kun Joag Lay Bethi
Woh Janti Thi Magr Phir Bhi.
hamaare daramiyaa.N aisaa ko_ii rishtaa nahii.n thaa
hamaare daramiyaa.N aisaa ko_ii rishtaa nahii.n thaa
tere shaano.n pe ko_ii chhat nahii.n thii
mere zimme ko_ii aa.Ngan nahii.n thaa
ko_ii vaadaa terii zanjiir-e-paa banane nahii.n paayaa
kisii iqaraar ne merii kalaa_ii ko nahii.n thaamaa
havaa-e-dasht kii maanind
tuu aazaad thaa
raaste terii marzii ke tabe the
mujhe bhii apanii tanhaa_ii pe
dekhaa jaaye to
puuraa tasarruf thaa
magar jab aaj tuu ne
raastaa badalaa
to kuchh aisaa lagaa mujh ko
ke jaise tuu ne mujh se bevafaa_ii kii
Ager Hum dost Hotay Tao
Ager Hum Dost Hotay Tu
To Karam Ki Inteha Kartay
Tumay Palkon Mein Basatay Hum
Ager Tum Rooth Jatay To
Tumhay Kitna Manatay Hum
Jo Milnay Tum Nahi Aatay To
Aa Kar Khud Tumhan Miltay
Tumhari Laghzishon Ko Bhi
Hansi Main Hum Ura Detay
Ager Apni Khata Hoti
To Khud Ko Bhi Saza Detay
Magar Ye Sab Jabhi Hota
Ager Hum Dost Hotay To
Magar Itna Hi Jana Hai
K Tum Ney Aaj Tak Hum Ko
Paraya Keh Ker Jana Hai
Kabhi Hamdam Naa Mana hai
Ager Hum Dost Hotay To.....
Kabhi tamana k raastoo pa nikal paroo to
Kiyaal rakhna
Hawaian badel,Fizaain,mosem,kiyaal
Chehray badel badel k tumheian milay gay
To lamha lamha bedeltay rangoo ki Shookh Dhookay mai Aa na jana
Kabhi jo charaoo tarf tumhry
Kiren kiren Apna khwab Aasa baden nikhray
Zameen pa utray
Tu Dhund lakoo mai sama na jana
Kabhi jo Aankhoo mai Chaand hans hans k Chandni ka Khumaar bher day
To apni Aankhain kahne Khlaa mai Gunwa na Aana
K ya na hoo phir jo khwaaab touty
Dhanek dhanek k Suraaab touty
To jism-o-jaaan per Aazaab touty
Aur tum ba mushkil lerzatay Hatao mai
Kirchi kirchi baden sambhalay
Khane bulendi pa cher k Ristii howi Nighaoo mai
Wapsii k Nishaaan Dhondoo
Ujer geya jo jahan Dhondoo
Kabhi tamana k rastoo pa nikel per nikel paroo to kiyaal rakhna
Khane say khali palet ka Aana bahut kathen hai
Bahut kathen hai
Hum Wuh Bedard hien ...
Hum Woh Bedard Hain K ...
Jinhien Khawab Ganwa K Bhie
Neend Aa Jati Hai
Soch Soch Kar Bhie
Jin K Zehano Ko Kuch Nahi Hota
Toot Phoot Kar Bhie Jin K Dil
Dharakna Yaad Rakhte Hain
Hum Woh Bedard Hain
K Jin K Ansoo
Aankhon Ka Rastaa Bhool Jatay Hain
Toot Kar Ronay Ki Khawahish Mein Jo
Baat Be Baat Muskurate Hain
Shaam Sey Pehle Marr Jaane Ki Khawahish Mein
Jo Jeetay Hain...
Aur..
Jeetay Hee Chalay Jatay Hain....
Woh gumaan gumaan sa qayas sa
kabhi door sa kabhi paas sa
kabhi chandni main chupa hua
kabi khushbuoon main basa hua
kabhi sirf us ki shabahatain
kabhi sirf us ki hikayatain
kabhi sirf milnay k silsilay
kabhi sirf us say hin faaslay
kabhi door chalti hawaoon main
kabhi meenh barasti ghataoon main
kabhi bad-gumaan kabhi meherbaan
kabhi dhoop hai kabhi saayebaan
kabhi band dil ki kitaab main
kabhi lab kushaan woh khwab main
kabhi youn k jaisay sawal ho
kabhi youn k jaisay khayal ho
kabhi dekhnay k hain silsilay
kabhi sochnay k hain marhalay
kabhi sirf rang-e-bahar sa
kabhi sirf ik ghubaar sa
kabhi dastaras k qareeb qareeb
kabhi door paas kahin nahi
yeh jo ukhrra ukhrra sa shakhs hai
yeh jo bikhra bikhra sa shakhs hai...!!
buhut mumkin hay sehra maiN abhi kuchh phool khhilnay hooN
buhut mumkin hay aaNkhhoN ko abhi kuchh khuwab bannay hooN
buhut mumkin hay darwazay pay dastak day abhi soraj
buhut mumkin hay keh shab ka andhera khatam hojaey
buhut mumkin hay achhay din hamari raah taktay hooN
buhut mumkin hay rahooN maiN kai dalkash nazaray hooN
abhi shayad khizaaN rut par baharaiN chhanay wali hooN
ghhataooN nay dilooN ki khhetiyooN par phir barasna hoo
buhut mumkin hay darya ko dubara rukh badalna hoo
abhi behkay hoey qadmooN ko dubara saNbhalna hoo
abhi ham nay chhupi khushyooN ka aik aik raaz pana hoo
abhi kuchh der ruk jao abhi us din ko aana hay
Aah !! wuh Mere Khwaab Lauta Do !!!
Kitni battain unkahee raheen...!!
Kitnay jazbay dhool howay...!!
Woh Mo'atar khayal taira...!!
Sansoon mein jo mehaka tha...!!
Ik umar hoi usske ahaat sunay...!!
Woh khawb sunehri...!!
Jeenay ke jis say aas bandhi thi..!!
Tairi kaj adaiyoon kay saye mein..!!
Kissi lamha e na'rasayee mein..!!
Beh gaya hai..!!
Darya kay uss paar utar gai hai..!!
Kisskadar gehra hai yeah darya...!!
Maira kacha ghara bhi toot chuka hai..!!
Tumharay ikhtiyaar mein hai ab tu..!!
Daboo do Mujh ko...!!
Ya mairay khawb louta doo..!!
Kammi hogi
gulshan ki baharoon main...
rungeen nazaroon main...
jab tum mujhey dhondo gey...
aankhoon main nammi hogi.
maehsoos tumhain uss din....
phir meri kammi ho gi......
sawan ki hawaooon ka.....
jab shoor sunno gey tum....
bikhrey hoey mazi ke....
auraaq chunno gey tum.......
mahool ke chehrey per.....
jab dhool jammi ho gi.........
mehsoos tumhain uss din....
phir meri kammi ho gi....
Marnay ki Dowaien Koun Karay
Mernay Ki Duaein Kiun Mangoon,,
Mernay Ki Duaein Kiun Mangoon,,
jeenay Ki Tamana Kon Karey....
Yeh Duniya Ho, Ya Wo Duniya ,,
Ab Khuwahish Duniya Kon Karey....
jo Agg Lagaee Thi Tum Ne,,
Us ko toh Bhujaya Ashko'n Ne...
jo Ashko'n Ne Bherkaee Hay,,
Us Agg Ko Thanda Kon Karey....
jab Kashti Sabit-o-Salim Thi,,
Sahil Ki Tamana Kis Ko Thi.....
Ab Aeise Shikista Kashti Per,,
Sahil Ki Tamana Kon Karey...
Duniya Ne Humein Chora "JAZBi,
Hum Chor Na Dein Kiun Duniya Ko...
Duniya Ko Samajh Ker Bethay Hein,
Ab Duniya Duniya Kon Karey....
dairaY
Hum loog
dairay mein chultay hein
dairay mein chulney se
dayiray tao burhtay hein
faaslay nahi ghut'tay
Arzoien chulti hien
jis taraf ko jaatay hein
manzilien tamana ki
sath saath chulti hien
gard urti rehti hai
Raastay nahi ghut'tay
subah dum sitaaron ki taiz jhilmut ko
roshni ki aamud ka paish baab kehtay hein
ik kiran ju milti hai' Aaftaab kehtay hein
Dayira budlnay ko ""inqalaab"" kehtay hein
Amjad islaam amjad
Meri Mohabbat OrLh Lo ... !!!
Meri Awaaz Ka Jadu,
Teri Awaz Ki Bahon Main Bahein Daalne Ka Muntazir Hai
Naye Mosam Tumhare Jism Ki Banjar Zameenon Per
Gulaabi Phool Khilne Ki Bashaarat De Rahe Hain
Tum Apni Zaat Se,
Mehroomiyon Aur Be-Yaqeeni Ke
Sabhi Parde Utaar Do
Aur,
Samey Ke Paniyon Main Phenk Kar,
Meri Mohabbar Odh Lo!!!
Udaasiyann beysabaab nahi hien ...
Udasian be sabab nahin hain
Khayal rakhna udasian be sabab nahin hain
Udasion ka agar ye mosam
Theher gya to….ghazab karey ga
Na ji sako gey….na mar sako gey
Na hi koi kaam kar sako gey
Kisi ko har pal talab karey ga
Udasian be sabab nahin hain…
Suno jo lamhey hain aaj hasil
Unhen hamesha sambhal rakhna
Mohbaton ka waqar rakhna
Jhan main kitney hi log aaey
Rahey, bassey ujar gaey hain
Magar ye jazbey azal se hain
Aor abad tak hain
Tum apni ankhon main sarey jazbon ka
Pehley jessa hi haal rakhna
Udasian be sabab nahin hain
Zara ye socho bichar gaey to
Kahan millen gey
Yoon hi rahen gi tamam raahen
Magar ye rahi na mill saken gey
Na dil ko apney udas rakhna
Har ik jazbey ka pas rakhna
Millen gey akhir ham ye aas
Nazum
Main tahna tha,sard hawa thi
raat kay pichlay paher ki
kaali khamoshi thi....
piyaron kay chehroon pay aik bay-naam tahayyar tha jaisay woh
mairay peechay koi dushman daikh rahay hon
door door tak charon janib veerani ka jaal tana tha
main is manzar ki haibat say kha-if tha....
aur apnay dil main soch raha tha
aagay meray dost kharay hain
jangal kay us paar nihayat bay chainy say
mera rasta dekh rahay hain...
un ki rus main doobi batain,chahat say ma'moor nigahain
phaily bahain......
meray gham ka marham hongi...
safar-e-sa'oobat sun kar unki ankhain shabnam shabnam hongi
jab main un ko woh sab cheezain jo main jinnon,
aur diyy'on say larr kar laya hoon,doon ga to unkay
chahray khil uthain gay....
woh poochain gay.....................
abhi main un kay sawalon kay jumlay hi soch raha tha
yak dum mujh par janay kahan say kuch saiy say toot paray
meray seenay aur kandhon par un kay thanday khanjar utray
khoon baha to main nay bachnay ki koshish main apnay donon haath uthaiy
laikin meray haath nahi thay
meri ankhon kay aagay say saari cheezain
doob rahi thin,saiyy mujh par
jhapat jhapat kar woh sab cheezain loot rahay thay
jin ki khatir meray saathi jangal kay us paar kharay thay
yak dum aik bijli si chamki
main nay un sayon ko dekha,
main nay dekha aur pehchana
woh sab meray..............
woh sab meray..........
woh..........sab...........meray.........
AiA
Yaad
YAAD
Mein Tum Se Milna Chahta Hoon
Kahein Bhi ..... Kisi Bhi Waqt
Phoolon Ki Wadeon Mein Jahan Khushboo Hamari Razdaar Ho
Badalon Ke Sang Jahan Dhanak RangBhikre Hoon
Teri Dunia Mein Jahan Aabad Khusheon Ke Qahqahe Hoon
In Be-Rang o Be-Noor, Be-Aab o Gayah Sehraon Mein
Her Zara Jahan Ka, Rafeeq-e-Haal He Mere Qadam Ke Aabloon Ka
Ya Phir Yunhi Sar-e-Raah Chalte Hoe..!!
Mein Tum Se Milna Chahta Hoon.....Zara Si Dair Ke Lie!
Teri Masroof Hayat Ka Khayaal Bhi He
Mudat Se Lekin
Mere Lab Pe Ek Sawal Bhi He
Bas Ek Mukhtaser Sa Sawal
Tera Jawab Ke Us Se Bhi Mukhtaser Ho Shaid
Sawal..!!! Ke Teri Zulf Ke Paich o Kham Sa Paicheeda Bhi Nahi
Sawal..!!! Ke Teri Qamat-e-Qayamat Sa Dara Bhi Nahi
Haan ..... Tere Aariz-e-Gulgoon Ki Metthas Rakhta He
Khusk Honton Pe Apne Lekin
Ek Talab, Ek Khalish, Ek Peyaas Rakhta He
Tum Apne Zehn Ke Tamam Khane Khangaal Dalo
Wo Sab Asbaaq Duhra Lo, Waqt Ne Jo Tumhein Perrhae Hein
Awaz Do Un Alfaaz Ko, Jo Teri Yaad Mein Samae Hein
Phir Bhi ......
Mujhe Dar He Ke Tum Lajawab Na Ho Jao
Wo Sawal Hi Aisa He
Ke Tum Se Koi Jawab Na Ban Parre Ga
Tum Ko Apni Zehanat Ka Dawa He To Suno
-------- Mein Poochtaa Hoon---------
:::::: TUM Mujhe Keon Yaad Aati Ho????::::
Hawis aur Mohabbat
Kaha mainay janaN,
Yeh sub kuch baja hay,
Hamaray ta'luk k her rastay mein
BadaN sung-e-manzil ki surat kharra hay!!
Hawis aur Muhabbat ka lehja hay yaksaan,
Kay donu teraf say badan bolta hay,
Bazahir zamaN-o-MakaN kay safar mein
Badan Ibtida hay, Badan Intiha hay!
Mager iskay hutay.......... sabhi kuch kay hutay,
Kahein beech mein wu ju ek fasla hay,
Woh Kia Hay???
Meri Jaan, daikhoo
Yeh Mohoom sa fasla he hakeekat mein
Sari kahani ka asli sira hay
Badan ki hakeekat, muhabbat kay kisay ka sirf ek hissa hay,
aur is say agay
Muhabbat mein ju kuch hay usko samghna
Badan kay tasawur say he ma'wara hay
Yeh ek kay'fiyat hay
Jisay naam daina tu mumkin nahi
Samaghnay ki khatir bus itna samagh lo
Zameen ZadgaaN kay mukaddar ka jub faisla hu gaya
Tu apnay tahafuz, tashakhus ki khatir,
Her ek zaat ko ek ta'la milla tha
Wu makhsoos ta'la, ju ek khas number pay khulta hay lakin
Kisi aur number say milta nahi hay
Mujhay aur tujhay bhee yeh ta'lay milay tha
Mager farq itna hay kay donu kay khulnay kay number wuhi hein,
aur in numberoon pay hamaray siwa
teesra koi bhee quf'l khulta nahi
teri aur meri baat kay dermiyaN
Bus yahi ferq hay
Hawis aur Muhabbat mein aye jan-e-jaan
Bus yahi ferq hay!!!
Buhat dinu ki baat thi ...
Bohat dino ki baat thi
shabab per bahar thi
fiza bhi khushgawar thi
na jaane kioun machal para
main apne ghar se chal para
kisi ne mujh ko rok ker
bari aada se tok ker
kaha ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee
magar mujhe khabar na thi
mahaul per nazar na thi
na janey kioun machal para
main apney ghar se chal para
phir shehar se main aa gaya
khayal tha ke paa gaya
usey jo mujh se durr thi
magar meri zaroor thi
phir ik haseen shaam ko
main chal para salam ko
gali ka rang dekh ker
naye tarang dekh ker
mujhe bari khushi hui
main kuch isi khushi main tha
kisi ne jhank ker kaha
paraye ghar se jayyee
meri qasam na ayyee
meri qasam na ayyee
wohi haseen shaam hai
bahar jis ka naam hai
chala hoon ghar ko chor ker
na janey jaoon ga kidhar
koi nahin jo rok ker
koi nahin jo tok ker
kahay ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee
Kiya Tumhien Main Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya
Kiya Tumhain Main Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Kisi gulaab ki khushboo kay bikharnay par bhi
Zara say aab kay aankhon main utarnay par bhi
Kitaab uthatay huay, Geet koyi gaatay huay
Ittar lagatay huay, choorian pehentay huay
Sanwar ke der talak aa-eenay ko taktay huay!
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Subha ko uthtay huay, shaam ko teheltay huay
Neend naa aaye agar karwatain badaltay huay
Kabhi yoonhi kisi makhsoos dhun ko suntay huay
Faarigh oqaat main koyi kitaab parhtay huay!
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Barastay abr main chhat par kabhi kharay hokar
Kisi kay rooth kay jaanay pay chirchiray hokar
Kisi saheli say bus yoonhi baat kartay huay
Kisi khayal main bethay se uth ke chaltay huay
Kisi bhi raat ko uth kar yoonhi tehltay huay!
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Akelay yoonhi kabhi apni dhun main chlatay huay
Kisi ki saalgira par yoonhi beheltay huay
Kisi oonchayi pe tanha sambhal ke chartay huay
Utartay chaand ka mojon main aks partay huay!
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Kisi gulaab ko tehni se torr kar bhi nahi
Kisi darakht ke saaye main beth kar bhi nahi
Apnay darwazay pe dastak koyi sunkar bhi nahi
Kisi dareecha-e-makaan se jhaank kar bhi nahi?
Apni Kitab main koi naam dekh kar bhi nahi?
Yaad-e-Maazi main kaheen door doob kar bhi nahi
Kisi bhi shakhs ko khamosh dekh kar bhi nahi
Kisi bhi aankh ko num dekh kar bhi nahi
Kahin lafzon main koi A dekh kar bhi nahi
Azaan hotay hi aanchal se sar ko dhaktay huay bhi nahi?
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya??
Koyi Nazum Aisi Likhoon Kabhi ... by Noshi GiLaani
"KOI NAZM AYSEE LIKHOON KABHI"
Koi Nazm Aysee Likhoon Kabhi
Teri Baat Baat Ki Roshni
Merey Harf Harf Main Bhar Sakey
Tere Lams Ki Yeh Shaguftagi
Merey Jism O Jaan Main Utar Sakey
Koi Chandani Kisi Gehrey Rang Key Raaz Ki
MereY RastooN Main Bikhar Sakey
Teri Guftagu Se Banaoun Main
Koi DastaaN Koi KehkashaaN
HoN MuhabbatoN Ki Tamazatey Bhi Kamaal Tarha Sey MeherbaaN
Terey BazouN Bahaar Main
Kabhi Jhultey Howe GaoN Main
Teri Justaju Ke Chiraag Ko Sar-e-Shaam Dil Main JalaoN Main
Isi Jhilmilati Si Shaam Main
LikhoN Nazm JO Tera Rup Ho
KahiN Sakht JaroN Main Ek Dum Jo Chamak Uthey
Koi Khusgawaar Si Dhoop Ho
Jo Wafa Ki Taal Key Raqs Ka
Koi Jeeta Jaagta Aqs Ho
Koi Nazm Aysee LikhoN Kabhi
Key Har Lafz Key Hath Main
Tere Naam Key
Tere Harf taza Kalaam Key
Kaiy Raaz HoN
Jinhain Munkashif Bhi KaroN Agar
To Jahan-E-Sheir Key Baab Main
merey Dil Pey Rakhi Kitaab Main
TereY Chashm O Lab Bhi Chamak UthaiN
Mujhey Roshni Ki FizaoN Main KahiN Ghair LaiN
Koi Nazm Aysee LikhoN Kabhi
Mohabbat Hai
Muhabbat Hai
Thetharti Aabshaaron Main Bujhi Thandi Hawa Sehna
Shabon Kay Gunbadon Main Goonjti Baychainiyon Kay Darmiyan Rehna
Har Ik Mosam Ko Apnay Andaroni Mosamon Ki Zadd Main Lay Ana
Kabhi Mil Kay Kisi Say
Baykhabar, Adhay Samandar Tak Safar Karna
Kabhi Tanha Kisi Sahil Pay Aa Kay Dair Tak Lehron Ko Ginna
Aur Khila Main Daikhtay Rehna
Muhabbat Hai
Kisi xKhoye Howay Ko Ghair Iraadi Toor Per
Har Ajnabi Chehray Main Aksar Dhondtay Rehna
Hamesha Baykhayali Main
Kitabon, Chand, Taron, Baadalon Per
Iss Kay Baray Jhilmilati Baat Likh Daina
Ya Phir Likh Kay Mitta Daina
Kabhi Rangon Ki Lehron Per
Usay Bay Soot Honton Say Sada Daina
Sada Ko Baaz Gasht Aur Goonj Main Dhall Kar
Khilaon Say Tahi Daman Palat-Tay Daikhna
Aur Phir Sada Daina
Muhabbat Hai
Main Kia Likhon
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai
Bohaat Hi Rooth Kar , Naraz Ho Kar
Napasandeeda Khayalon, Nafraton Ki Autt Say
Ya Mukhtalif Heelon Bahanon Say
Kisi Ko Jhanktay Rehna
Kisi Ko Sochtay Rehna
Woh Manay Ya Na Manay
Bas Usay Likhna
Usay Kehna
Muhabbat Hai
YA Rab yeh kya hai jis k Liey
Ya rab yeh kya ke jis ke liye
din mein bhi sapne dekhe the
aur neend se nata khoya hai
chhup ke meri in bahon mein
woh aur kisi ki yadon mein
kal be hadd toot ke roya hai
Tuesday, October 9, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
Tu Ne Jo Chonk Kar Her Jagha Nigah Ki Hogi
Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi
Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser
Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi
Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene
Yaser Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi
Zikir Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein
Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi
Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe
Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi
Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin Yaser
Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi
Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI ka Yahaan
Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi
Post a Comment